Seerat-un-Nabi
Hazrat Muhammad (S.A.W) ki zindagi ek aisi roshni hai jo har insaan ke liye rahnumai ka zariya hai. Yeh kahani sirf ek nabi ki nahi, balke ek behtareen insan ki hai jo honesty, insaf, aur rehmat ka paikar tha. Aaj hum unki zindagi ke kuch aham pehluon ka jaiza lete hain jo har shakhs ke liye ek role model ban sakte hain.
* Bachpan ka Safar
-
Hazrat Muhammad (S.A.W) Makkah ke mashhoor qabeelay Quraish mein paida huye. Unka bachpan mushkil halaat mein guzar gaya, kyunke unke walid Hazrat Abdullah unki paidaish se pehle hi wafat pa gaye the, aur sirf 6 saal ki umr mein unki walida bhi chal baseen. Dada Hazrat Abdul Muttalib ne unka khayal rakha, lekin jab unka inteqal hua to chacha Abu Talib ne unki zimmedari uthai.Yeh wo waqt tha jab Muhammad (S.A.W) ne apni honesty aur mehnat se sab ke dil jeet liye. Chacha ke caravan business mein madad karte karte, unki shohrat ek sadiq aur ameen shakhs ke taur par phail gayi.
* Hazrat Khadija Ka Rishta
-
Hazrat Muhammad (S.A.W) ki honesty aur business skills sirf unke qabeelay tak mehdoood nahi thi. Jab Hazrat Khadija, jo uss zamane ki ek izzatdar aur ameer tajir thi, unke kaam aur shafafiyat ke bare mein sunin, to unhone unhe apne caravan ko Syria le jaane ki zimmedari di.Is safar mein, Hazrat Khadija ke ghulam Maysarah ne unki honesty aur dealings ka nazdeek se mushahida kiya. Wapis aa kar Maysarah ne Hazrat Khadija ko unki honesty aur aqalmandi ke baare mein bataya. Hazrat Khadija itni mutasir huin ke unhone shadi ka rishta bhej diya, aur woh unki pehli biwi bani.
* Dunya Mein Mashhoor Sadiq Aur Ameen
-
Muhammad (S.A.W) ka ikhlaaq aur insaf sab ke liye mashhoor tha. Dushman bhi unhe "Sadiq" aur "Ameen" kehte thay. Ek waqiya yaad rakha jata hai jab unhone Rome ke Emperor Heraclius ko Islam ka dawatnama bheja. Is dawat par Heraclius ne Abu Sufyan se Muhammad (S.A.W) ke baare mein poocha, jo uss waqt Islam ke sakht mukhalif thay. Abu Sufyan ne bhi gavaahi di ke Muhammad (S.A.W) hamesha sach bolte hain aur ek ba-iman shakhs hain.
* Insaf Ka Nisab
-
Hazrat Muhammad (S.A.W) ka sabse azeem pehlu unka insaf tha. Ek waqiya hai jab Bani Makhzum ki ek aurat ne chori ki. Uski izzat aur qabeelay ki wajah se logon ne sifarish ki ke use saza na di jaye, magar Muhammad (S.A.W) ne saaf keh diya, "Wo qabeelay tabah ho gaye jo sirf garibon ko saza dete aur ameer mujrim chhoot jate." Yeh unka insaf aur principles ka saboot hai jo aaj bhi duniya ke liye ek misaal hai.
* Ek Rehmat Bharay Insan
-
Hazrat Muhammad (S.A.W) ek pyaray walid, shafqat bharay shauhar aur izzat karne wale shakhs thay. Unka rawaiya aurton ke liye hamesha izzat aur mohabbat ka hota. Unki har baat insaniyat aur adal par mabni hoti thi.
Conclusion:
Hazrat Muhammad (S.A.W) ki zindagi sirf musalmanon ke liye nahi, balke har insaan ke liye ek perfect guide hai. Unki honesty, insaf, aur shafqat ke aham sabak humari zindagi ko behtareen bana sakte hain. Aaj hum sab ko chahiye ke unki misaal ko follow karen, taki duniya aur aakhirat dono mein kamiyabi hasil ho.Agar aapko yeh mazmoon pasand aaya, to zarur share karen aur apni raye ka izhar karen. Hazrat Muhammad (S.A.W) ki zindagi ke aur pehluon ke liye hamesha is platform ka ruk karen!
0 Comments